|
* Sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa *
Sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa,
kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Ghaibaanaa kyaa
ziinaa sabaa kaa Dhuu.NDhatii hai apanii musht-e-Khaak,
baam-e-baland yaar kaa hai aastaanaa kyaa,
aatii hai kis tarah se merii kabz-e-ruuh ko,
dekhuu.N to maut Dhuu.NDh rahii hai bahaanaa kyaa,
betaab hai kamaal hamaaraa dil-e-aziim ,
mahamaa.N saaraay-e-jism kaa hogaa ravanaa kyaa.
|
|