donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hakim Nasir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haaye vo vaqt-e-judaaii ke tumhaare aa.Nsuu, *
Haaye vo vaqt-e-judaaii ke tumhaare aa.Nsuu,
gir ke daaman pe bane the jo sitaare aa.Nsuu,

laal-o-gauhar ke Khazaane hai.n ye saare aa.Nsuu,
koii aa.Nkho.n se churaa le na tumhaare aa.Nsuu,

[laal-o-gauhar = rubies and pearls]

terii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to sitaare aa.Nsuu,
merii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to bechaare aa.Nsuu,

in ko ’Nasir’ na kabhii aa.Nkh se girane denaa,
un ko lagate hai.n merii aa.Nkh me.n pyaare aa.Nsuu.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361