donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hakim Nasir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi ko na bana lai'n wo saza mere baad *
Zindagi ko na bana lai'n wo saza mere baad, 
hosla dena unhai'n mere Khuda mere baad, 
hath uThte hue un ke na koi dekhega ,
kis ke ane ki karenge wo dua mere baad, 
kaun ghoongat ko uthayega sitamgar kah kar, 
aur phir kis se karenge wo haya mere baad, 
phir zamane mai'n mohabbat ki na pursish hogi, 
royegi siskiyan le le ke wafa mere baad, 
wo jo kahta tha ke `Nasir` ke liye jita hoon ,
us ka kya janiye kya haal hua mere baad. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355