donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hamid Irfan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wafadari wadeeyat ho chali hai *
Wafadari wadeeyat ho chali hai,
yeh jaan tujh se ibaarat ho chali hai,

taqaaza-e-jahaan hai, aur dil hai,
kuch aisi hee raqabat ho chali hai

qayamat ko zara sa tool de de,
takallum mein tawaalat ho chali hai,

milaa hai aaj izn-e-baazyaabi,
k phir yaani halaakat ho chali hai

firaaq-e-jaankaah, dard-e-musalsal,
yehee mujh per inayat ho chali hai,

koi deewar-e-girya kheench laao,
mere dil peh qayamat ho chali hai

jafaa dastoor-e-dunya ban gaya hai,
wafaa meri wiraasat ho chali hai,

sar-e-maqtal mujhee ko kheench laao,
mujhay marnay ki aadat ho chali hai

main apnay yaar jaisa ban gaya hoon,
meri aisi shabaahat ho chali hai,

koi mujh ko dikhaaey meri manzil,
k sadyon ki musaafat ho chali hai

kisse ham naa khuda tasleem kar lein
imaamat bhee malaamat ho chali hai,

nazar uss paar ko taknay lagi hai,
ayaan mujh per haqeeqat ho chali hai,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 416