donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hamid Irfan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai’n tere husn ko azrooe maahtab karoo’n *
Mai’n tere husn ko azrooe maahtab karoo’n,
Zeyaae shams ko maayel ba izteraab karoo’n,
Phir us pe dekhoo’n tamaashae ahle arsh baree’n,
Koi mai’n aisi jasarat ka irtekaab karoo’n,
Daba hua hai jo panhaayio’n mei’n barso’n se,
Who raze ishq butaa’n kaise beneqaab karoo’n,
Kare jo chaak, jahaane kharaab ka dastoor,
Bapa mai’n koi yahaa’n aisa inqelaab karoo’n,
Teri khodayii hatale na tujh se dhayaan mera,
Yehi mai’n sonch ke duniya se ijtenaab karoo’n,
Hai jis ki khoj mei’n saregirdaa’n yeh jahaa’n saara,
Kaho to aaj wohi raaz be neqaab karoo’n,
Yeh zindagi to tere naam ho chuki kab se,
Kitaabe ishq tujhi se mai intesaab karoo’n,
Nazar gayii na kahii’n tujh se mil gayii jab se,
Baroz hasher bhi tera hi intekhaab karoo’n,
Rah eke jis ka yahaa’n shohra ta abad qaayem,
Mai’n aisa ishq giraa’n maaye iktesaab karoo’n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398