donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hamid Irfan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MAHAK AFZA TERA PEEKA NAHI HAI *
MAHAK AFZA TERA PEEKA NAHI HAI,
HOYEDA HO KE BHI ZAAHIR NAHI HAI,
MAI’N SARGIRDAA’N HOO’N TERI JUSTAJOO ME’N,
NAZAR TO HAI MAGAR MANZAR NAHI HAI,
WAFA KA AAYINA JAB DEKHTA HOO,
MERA PAIKAR, MERA PAIKAR NAHI HAI,
HAI JAANE NAATAWAA’N JALWAYO’N KI ZAD MEI’N,
MERA DIL HAI, KOI PAT THER NAHI HAI,
JABEE’N AAMADAE SIJDA HAI LEKIN,
MERI QISMAT MEI’N TERA DAR NAHI HAI,
TOO HI AASAA’N KAREGA MERI MANZIL,
MERA TUJH BIN KOI RAHBER NAHI HAI,
NIGAAHE KHALQ GO US PER LAGI HAI,
KHAYAALO’N KA MERE MAHWAR NAHI HAI,
MILA THA JO SABAQ ROZE AZAL MEI’M,
TUJHE IK LAFZ BHI AZBER NAHI HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 409