donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hari Manchanda Bani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Subah kii pahlii duaa se aashanaa hotaa huaa *
Subah kii pahlii duaa se aashanaa hotaa huaa ,
ek sannaaTaa hai maanuus-e-sadaa hotaa huaa, 

[aashanaa=acquainted; maanuus-e-sadaa=familiar sound] 

jaate mausam kii ajab tasviir hai chaaro.n taraf, 
darmiyaa.N us ke hai ik pattaa haraa hotaa huaa ,

itanii aagaahii to hai mai.n ba.Dh rahaa huu.N kis taraf, 
ye nahii.n maaluum kis se huu.N judaa hotaa huaa, 

[aagaahii=to know beforehand] 

ik navaa aahistaa aahistaa fanaa hotii hu_ii, 
ek harf-e-sad-talab chup chup adaa hotaa huaa, 

[fanaa=destroyed; harf-e-sad-talab=word for a thousand desires] 

dekh mai.n apanii jagah se ik qadam sarakaa nahii.n 
dekh terii hii nishaanii hai Khataa hotaa huaa 

[sarakaa=moved] 

ik nazar imkaa.N-hazaar-imkaa.N safar karatii hu_ii, 
ek manzar sau parat yaksar nayaa hotaa huaa, 

[imkaa.N-hazaar-imkaa.N=having numerous possibilities] 

ba.Dh rahaa hai kaun apanaa raastaa lete hue, 
apane ham_raaho.n se chupake se Khafaa hotaa huaa .

[ham_raah=fellow traveller; Khafaa=annoyed] 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303