* na dil lagega kahaniyo n mein na kaam aayengi yeh kitabein *
na dil lagega kahaniyo n mein na kaam aayengi yeh kitabein
tu hi batadey bagheir tere kateingi kese hamari raatein
qasam khuda ki jo baat humko sunayi teri saheliyon ney
woh baat sunney ko tere lab sey ruki hui hein hamari sansein
mein jab bhi hatker zamaney bhar sey tumharey barey mein sochta hoon
to yad aata hai mujhko akser tumhara chehra tumhari baatein
teri mohabbat ney mere dil ko yeh rog kesa laga diya hai
na kaam aati hein ab duaayein na kaam aati hein ab davayein
hum aashiqo n ka zamana dushman sada raha hai sada raheiga
jahan na ho dushmaney mohabbat chalo ik aisa nagar basayein
unhein sataney ka mere dil mein nahi tha yaaro koi irada
yehi tamanna thi apney dil ki woh rooth jayein to hum manayein
ik ek misra nikal key dil sey jab ik mukammel ghazal banadey
to dil mein uthti hai ek khwaish kisi ghazal ko ghazal sunayein
mein bintey mariyam sey pochchta hoon ye tujhko aakhir hua bhi kya hai
kahan gaya woh naqab tera kahan gayi n woh teri ridayein
******************* |