donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hassan Raza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo shakhs bhi milta hai woh khul kar nahi milta *
Jo shakhs bhi milta hai woh khul kar nahi milta,
Is waaste logo'n se mai'n aksar nahi milta,
Karta hoo'n mai'n jab us se na milne ki shikayet,
Kahta hai moqadder se moqadder nahi milta,
Har gham mujhe deemak ki tarah chaaT raha hai,
Hai kaun sa gham jo mere ander nahi milta,
Karta hai barha naz wo Tighyani pe apni,
Jab Tak kisi dariya ko samunder nahi milta,
Kuchh aisa mohabbat ka yaha'n qahat parha hai,
Ghar me'n bhi barader se barader nahi milta,
Jab ghar se chala Tha to mujhe roka Tha ghar ne,
Mai'n laut ke aaya hoo'n To ab ghar nahi milTa,
Waise To "Raza" qad me'n sabhi log barhe hai'n,
Koi mere qaamat ke barabar nahi milTa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417