donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hassan Raza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ZAROOR KOI KAMI MERI APNI ZAAT MEI'N HAI *
ZAROOR KOI KAMI MERI APNI ZAAT MEI'N HAI,
JO AIK KARB MOSALSAL MERI HAYAAT MEI'N HAI,
KISE SUNAAYE'N YAHAA'N KAUN KIS KI SUNTA HAI,
HAR AIK SHAKHS MOQAIYYAD KHUD APNI ZAAT ME'N HAI,
NA JAANE SHAHAR ME'N KAB KAUN QATL HO JAAYE,
JISE BHI DEKHIYE IK DOOSRE KI GHAAT ME'N HAI,
KISI SIFAT ME'N BHI APNI NAZAR NAHI AATA,
YEH IK SAFAT BHI TO SHAAMIL TERI SIFAAT ME'N HAI,
TALAASH JISKI HAI AB TAK MERI NIGAAHO'N KO,
WOH AIK SHAKHS ISI BAZME KAAYINAT ME'N HAI,
MAI'N APNI ZAAT ME'N MANA KE NA MOKAMMAL HOO'N,
WOH KAUN HAI JO MOKAMMAL KHUD APNI ZAAT ME'N HAI,
YEH SONCHTA HOO'N "RAZA" JAAYU'N TO KAHAA'N JAAYU'N,
SAKOON DIN ME'N MAIYASSAR HAI AUR NA RAAT ME'N HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410