donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibrahim Zauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa *
Dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa,
sun liijiyo ke arsh kaa aivaan bah gayaa,

[aan = moment;  aivaan = palace]

zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N,
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa,

yuu.N roye phuuT phuuT ke paa.Nvo.n ke aabale,
naalaa saa ek suu-e-biyaabaan bah gayaa,

[aabale = blisters; naalaa = stream; suu-e-biyaabaan= towards wilderness]

kashtii savaar-e-umr huu.N bahr-e-fanaa me.n mai.n,
jis dam bahaa ke le gayaa tuufaan bah gayaa,

thaa 'Zauq' pahle dillii me.n panjaab kaa saa husn,
par ab vo paanii kahate hai.n multaan bah gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374