donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Imam Aazam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Paani ko woh aag hai'n kahte aag ko paani kahte hai'n *
Paani ko woh aag hai'n kahte aag ko paani kahte hai'n
Shayad sunnat kabir ki manind ulti baani kahte hai'n

Din me'n qaid woh jugnu karke ethlate itrate hai'n
Us ko woh tahzeeb-e-nau ki ek nishani kahte hai'n

Kundli mar ke baith gaye hai'n khud woh samundar ke aage
Phir bhi un ko peyas lagi hai paani paani kahtte hai'n

woh kya jane'n kis chirhye ka naam hai toofa'n dar toofa'n
Jo sahil ki sabuk si lahro'n ko tughyani kahte hai'n

"Aazam" baat purni hai auro'n ki khatir lut jana
Khud gharzi se upar uthne ko qurbani kahte hai'n

				Editor "Tamseel-e-Nau" Qaurterly,
				Qilaghat, Darbhanga -846004
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417