donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Imteyaz Ali Gauhar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bheegti khaak ko barsat buri lagti hai *
Bheegti khaak ko barsat buri lagti hai,
Is liye mujh ko bhi yeh baat buri lagti hai,
Bin tere koi madadgar nahi hai Maula,
Log dete hai'n to khairat buri lagti hai,
Pahle mai'n paayo'n ke chakkar se bandha rahta tha,
Ab mujhe gardishe halaat buri lagti hai,
Waqt tham tham ke guzarta to bahut achcha tha,
Is qadar teziye auqaat buri lagti hai,
Apni ik umr mere saath basar ki jisne,
Ab to us ko bhi meri zaat buri lagti hai,
Kya karoo'n teri mohabbat ki farawaani ka,
Mujh ko har cheez ki bohtaat buri lagti hai,
Chaand se mujhko mohabbat to hai lekin "Gauhar",
Din nikal jaye to phir raat buri lagti hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394