donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Imteyaz Ali Gauhar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JAB SE USKI SIMT MERA AANA JAANA HO GAYA *
JAB SE USKI SIMT MERA AANA JAANA HO GAYA,
DEKHTE HI DEKHTE DUSHMAN ZAMANA HO GAYA,
JISM SE JARHTA HI JATA HAI RAFU KE BA WAJOOD,
KHAAK KA YEH PAIRAHAN KITNA PURANA HO GAYA,
MAI'N JAHAA'N MEI'N URH RAHA HOO'N AB MISAALE KHAAR O KHAS,
KIS HAWA KE DOSH PER MERA THIKAANA HO GAYA,
IS TARAH LOOTA GAYA HAI MERE DIL KO BAAR BAAR,
KHATAM SEENE SE MOHABBAT KA KHAZAANA HO GAYA,
IK SAFAR DARPESH THA MUJHKO NAYE DIN KI TARAF,
RAAT KYA AAYEE KE MAI'N GHAR SE RAWAANA HO GAYA,
IS LIYE URHTA HUA PHIRTA HOO'N PANCHHI KI TARAH,
MERA SAARA RIZQ YAARO DAANA DAANA HO GAYA,
KIS LIYE KARTA HOO'N "GAUHAR" MAI'N KISI KA INTEZAAR,
JAANE WALE KO BAHUT MUSHKIL BULAANA HO GAYA.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314