donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Imteyaz Ali Gauhar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* YEH AASMAA'N JO MERE MOQADDAR MEI'N AAGAYA *
YEH AASMAA'N JO MERE MOQADDAR MEI'N AAGAYA,
MAI'N IS LIYE ZAMEEN KE CHAKKAR MEI'N AA GAYA,
TANHA CHAL THA RAAT KE LAMBE SAFAR PE MAI'N,
PHIR YO'N HUA KE CHAAND BARAABAR MEI'N AA GAYA,
AAYA TERA KHAYAAL TO AISA LAGA MUJHE,
JAISE CHIRAAGH RAAT KE MANZAR MEI'N AA GAYA,
SAHRA KI RET PAYAAS SE BAS DEKHTI RAHI,
DARIYA KA SAARA SHOR SAMUNDER MEI'N AA GAYA,
PHIRTII HAI MUJHKO GARDISHE DAURAA'N LIYE HUE,
JAB SE MAI'N TERE CHAAK KE MAHWAR MEI'N AA GAYA,
DHOKA DIYA HAI AISA MERI KHAAK NE MUJHE,
MAI'N AAYINAE MISAAL THA PAT-THER MEI'N AA GAYA,
"GAUHAR" MAI'N ZINDAGI KI THAKAN SE NIDHAAL THAA,
MUJH KO SUKOON KHAAK KA BISTAR MEI'N AA GAYA.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329