donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iqbal Tariq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JAB ZAKHM SIYE DIL KE CHALO GHAAR TALAASHE'N *
JAB ZAKHM SIYE DIL KE CHALO GHAAR TALAASHE'N,
KUCHH PHOOL CHUNE'N DARD KI MAHKAAR TALAASHE'N,
BOYII HAI TERI YAAD ME'N HURFO'N KI CHANBELI,
DUNIYA ME'N KAHAA'N IS KE TALABGAAR TALAASHE'N,
ZORDAAR ZAMAANE KI HIMAAYET ME'N HAI BASTI,
HAM LOG KAHAA'N APNE TARAFDAAR TALAASHE'N,
YEH SHAAKH PARINDO'N KA HAI PAL BHAR KA BASERA,
AAGHOSH ME'N JO BHAR LE'N WOH ASHJAAR TALAASHE'N,
DAAMAN TO GULAABO'N KA BHARE HIJAR KI SHABNAM,
BAADAL TO BARASNE KO BHI KOHSAAR TALAASHE'N,
BIKTI HAI'N FAQAT WAQT KI MANDI ME'N BAHAARE'N,
KIS AUR KHAZAAYO'N KE HAI'N BAAZAR TALAASHE'N,
DUNIYA ME'N HAR IK SHAKHS HI KAHDO HAI KAHI'N AUR,
RAANJHE KA SAB APNE LIYE KIRDAAR TALAASHE'N,
GHANGOR ANDHERE HAI'N TAKHAIYAL KE QAFAS ME'N,
YAADO'N KE UJAALE MEI'N HAMII'N YAAR TALAASHE'N,
JO RAAH CHUNE'N SHAAM KI "TARIQ" WOH MUSAFIR,
KAB APNE SARO'N KE LIYE DASTAAR TALAASHE'N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372