donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Irfan Barabankawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naye daur ka yeh sitam dekhte haiN *

 

TARAHI  GHAZAL 
 
Naye  daur  ka  yeh   sitam    dekhte   haiN
Her ek dil meN  ranj-o-alam   dekhte   haiN
 
Dayar-e-Nabi  jab bhi  hum    dekhte   haiN
Haqeeqat  meN  aks-e-iram   dekhte   haiN
 
Tamanna  ki   takmeel  hum   dekhte  haiN
unheN  jab ba  lutf-o-karam   dekhte  haIN
 
baseerat   se   khali   hai    jin  ki    basarat   
who binaaee rakhkar bhi kum dekhate haiN
 
wo jinki  saroN  meN  hai   sauda-e-manzil
kahaN  raah  ke  pech-o-khum dekhte haiN
 
naqaayes   ka  apni  hai   ehsaas   jin  ko
kisi ke  ma’aayeb  wo  kum  dekhte  haiN
 
jabeen-e-aqeedat   wahiN   per   hai  jhukti
“ jahaN tera  naqsh-e-qadam dekhte haiN “
 
Nahi  apne  qaboo meN rahta hai yeh  dil
So unki taraf  kum se kum  dekhte  hai
 
Zameen-e-Asadullah  Ghalib  meN  “IrfaN”
Chalo kuchh laga kar qalam  dekhte haiN
 
       IRFAN  BARABANKAWI ,  JEDDAH
++++++++++++++++++++
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 307