donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Irfan Sattar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ChaaNd bhii khoyaa khoyaa saa hai taare bhii Khwaabiidaa haiN *
ChaaNd bhii khoyaa khoyaa saa hai taare bhii Khwaabiidaa haiN,
aaj fizaa ke bojhalpan se lahje bhii sanjeedaa haiN,

jaane kin kin logoN se is dard ke kyaa kyaa rishte the,
hijr kii is aabaad-saraa meN sab chehre naa-diidaa haiN,

itne barsoN baad bhii donoN kaise TuuT ke milte haiN,
tuu hai kitnaa saadaa-dil aur ham kitne pechiidaa haiN,

sun jaanaaN ham tark-e-taalluq aur kisii din kar lenge,
aaj tujhe bhii ujlat sii hai, ham bhii kuchh ranjiidaa haiN,

ghar kii voh maKhduush imaarat gir ke phir taamiir huii,
ab aangan meN peD haiN jitne saare shaaKh-bariidaa haiN,

is bastii meN ek saDak hai jisse hamko nafrat hai,
uske niiche pagDanDii hai jiske ham gir-viidaa haiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376