donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jamal Lucknawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yeh kashtiye hayaat'e mohabbat bhaNwar meiN hai *
yeh kashtiye hayaat'e mohabbat bhaNwar meiN hai 
sailaab e ashk jab se meri chashm e tar meiN hai 

hansta hai aaphi ki tarah meire haal par 
yeh aapki ada mer'e zakhm'e jigar meiN hai 

guzrey haiN be naqaab yaqeenan idhar se woh 
deikho to kaisa hashr bapa rahguzar meiN hai 

yeh inkeshaaf geisu o rukh se hua terey 
koi to hai jo gardish'e shaam o saher meiN hai 

uss roaz se kisi pa hamaari nazar nahiN 
jis roaz se wo jalwa hamaari nazar meiN hai 

iss daur e beiamaaN meiN kahaN jaaog'e Jamal 
sAch to yeh hai qaraar usi rahguzar meiN hai 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 320