* pyaar kiya nahin jata ho jata hai *
pyaar kiya nahin jata ho jata hai
dil diya nahin jata kho jata hai
ay pyaar key dhusmanoon pyaar ko jano
kam sey kam is ahsaas ko tu mano
pyaar jo ho ga tumhain tu bachtao gey
ise pyaar key bin na jee pao gey
hum tu jaan dee saktey hain pyaar key khatir
tu jaan lee saktey ise pyaar key khatir
ab key na tum hum ko rook pao gey
hath bhi lagaya tu bachtao gey
ab hum mil key rehe gey kuch bhi ho jayey
chahey hum khud is jahann sey he kho jayey
agar maar bhi gaye tu akele nahin jayey gey
pyaar key kahani tumhare liye choor jayey gey
pyaar ko mita kar kya pao gey
kya tum is jahan main jee pao gey
hum ney kar dee hai naam pyaar key yeh zindagani
ab bane yeh zindagi pyaar key diwani
ya baan kar reh gaye yeh aaik kahani
pyaar mit-taa nahin loog mit jatey hain
pyaar bik-taa nahin loog bik jatey hain
maar key rahey gey zinda ab yeh kahani
sunay gey jise har aaik raja rani
|