* Aye is dunya main aaik naam lee kar hum *
Aye is dunya main aaik naam lee kar hum
jayey gey umaar tamaam lee kar hum
jiye gey is dunya main insaan baan kar
jane kal hoon kya aur kahan hum
ab jo aa gaye hain tu jiye gey hum
chahey dard ho ya khushi piye gey hum
jane kya payey gey is dunya main hum
kya kuch lee ja payey gey sath apnay hum
is dunya main tu paisay ka raaj hai
kya is ko kama payey gey hum
kehtey hain paisa he sab kuch hai yahan
likin pyaar per yeh jaan tu lutayey gey hum
dunya main kya karne aye hain kya kar jayey gey hum
kya kabhi,kahin see yeh jaan payey gey hum
socha tha kuch kar jayey gey yahan hum
apnay naam ko chamkayey gey yahan hum
karna chaha tha kya hum ney,hoo gaya kya sey kya Ek dum
ab kar kya saktey hain hum shayed kismat ko he tha yeh manzoor har dum
har aaik raat sochtey rehtey hain hum
kyoun bheja is jahan main hamain is khuda ney
kya chaha tha hum se,kya kuch dee payey gey hum
dekhtey hain jab is dunya key khubsoorti ko hum
reh jatey hain dab key is soch key dunya main hum
banaya is jahan ko kitna khoobsoorat khudaa ney
kash yahan hamesha reh patey hum
jab jane ka sochte hain tu ansoo behte hain
kash na marey har paal yeh kehtey hain
marna tu hai ab har kisi key naseeb main
kash is per kuch kar patey hum
har waqt soch main doobey rehtey hain
koi mile tu us sey bhi kuch na kuch hain
koi chahey hum ko yeh tamana hai hamari
is liye tu jeetey rehtey hain hum
|