* Jab sey gaye tum hum ko choor key *
Jab sey gaye tum hum ko choor key
badal gaye zindagi har moor pee
Yaadein reh gaye hain ab hamare sath
jane kab aye ga phir hath main hath
jeena sikha diya hamain in yadoon nee
bin piyey bana diya hamain in yadoon ne
kitne rangeen din the woh yaad aate hain
yaad jane key baad ansoo bhi bahate hain
Hum phir kuch roo letey hain
ghum key ansoo samoo letey hain
phir naya din aata hai tumhari yaad lee ke
chala jata hai dhookon key barsaat dee kar
jee rahay hain inhe yadoon key sahare
tum judaa na karna hamare kinare
Yaddein kitne rangeen hote hain
Sari kahani key tasweer hote hain
in yadoon bin jina chahta kon hai
is dard ko peena chahta kon hai
nahin jee sakta koi in yadoon bina
kya koi reh paya hai apne sansoon bina
|