donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jameel Ahsan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Subah ke gale me'n jab raat har dalegi *
Subah ke gale me'n jab raat har dalegi
Shabnami ujalo'n se ungliya'n jalalegi

Kisne khawab dekhe the kis ne soot kata hai
Kis ka chand sa tukrha kis ki god paalegi

Zindagi se bezari maut ko bulayegi
Khwahisho'n ki kasrat ja par naye nikalegi

Chand aaj aadha hai aur nisf dunia aaj
Jho'nprho'n me'n so legi rukhi sukhi khalegi

Phir kisi reporter ki saaf go jai surkhi
Shahar ke faqiho'n ki pagrhiya'n uchhalegi

Waqt aisa aayega jab "Jameel" yeh dunia
Shohrat ke lutero'n ko rahnuma banalegi

 				Hagalundga- 42, 7 Tr.171 50 Solna (Sweden)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 456