* Dill main umeed e shooq main waraftagi kahan *
Dill main umeed e shooq main waraftagi kahan
mehroom e iltefat main ab zindagi kahan
yarab mujhy aata khlish e lazawal kar
taskeen aarzoo main hy asoodgi kahan
mujhy sey na pooch shiddat e aalam rozgaar
chehry pey apny dykh hey tazgi kahan
tafseel wardaat e alam kiya sunaaiye
dill par guzar rahi ho to phir dill lagi kahan
dawa sukhan wari ka jamil aap ko sahi
leykin bayan main aap key wo sadgi kahan
|