* Tera husn bhii bahaana mera ishq bhii bahaana *
Tera husn bhii bahaana mera ishq bhii bahaana
yeh lateef asta'are naa samajh saka zamana
mai'n sigaar daste nazuk jo uthaye naaz shana
ke sa'nwer gayii yeh zulfein. to sa'nwar gaya zamana
teri zindagi tabassum, meri zindagi talatum
meri zindagi haqiqat teri zindagi fasana
teri zulf kham ba kham ne naye silsile nikale
meri seena chakiyo'n se jo bana mezaj shana
tera naaz kibriyaee bhii, muqaam ghaur mei'n hai
ke ghata diya hai sajdo'n ne weqaar aastana
mai daroon khana aaker bhii liye hoo'n dagh sijda
hai abhii meri jabee'n pe asre baroon khana
kabhii raah mai'n ne badlii to zamee'n ka raqs badla
kabhii saa'ns lee tha'har kar to tha'har gaya zamana
|