donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jameeluddin Aali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aali ji ab aap chalo tum apne bojh uthaye *
Aali ji ab aap chalo tum apne bojh uthaye 
sath bhi de to akhir hamare koi kahan tak jaye 
jis sooraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aye 
tum ye kaho Khud tum ne ab tak kitne diye jalaye 
apna kam hai sirf mohabbat baqi us ka kam 
jab chahe wo roothe hum se jab chahe man jaye 
kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed 
hum sab ko samjhane wale kaun humain samjhaye 
ek isi umeed pe hain sab dushman dost qabool 
kya jane is sada-ravi main kaun kahan mil jaye 
duniyaa wale sab sache par jina hai us ko bhi 
ek Garib akela papi kis kis se sharmaye  
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 462