* Aap me’n gum hai’n magar sab kii khabar rakhate hai’n *
Aap me’n gum hai’n magar sab kii khabar rakhate hai’n
ghar me’n baithe hai’n zamaane pe nazar rakhte hai’n
nuktaachii’n dekhiye kis kis pe nazar rakhate hai’n
ham bhii ai diidaavaro aib-o-hunar rakhte hai’n
ham se ab ai garadish-e-dauraa’n tumhe’n kyaa lenaa hai
ek hii dil hai so vo zer-o-zabar rakhte hai’n
jis ne in tiiraa ujaalo’n kaa bharam rakhaa hai
apne siine me’n vo naadiidaa sahar rakhate hai’n
rahanumaa kho gaye manzil to bulaatii hai hame’n
paanv zakhmii hai’n to kyaa zauq-e-safar rakhte hai’n
vo andhero’n ke payambar hai’n to kyaa Gham hai "Jamil"
ham bhii aankho’n me’n kaii shams-o-qamar rakhate hai’n
|