|
* sab ke dil se utar gayaa huuN main, *
Ek hunar hai jo kar gayaa huuN main,
sab ke dil se utar gayaa huuN main,
kaise apnii haNsii ko zabt karuuN,
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN main,
kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa,
jiite ji jab se mar gayaa huuN main,
ab hai bus apna saamnaa darpesh,
har kisii se guzar gayaa huuN main,
voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze,
sar-ba-sar aap par gayaa huuN main,
(naaz-o-adaa : playfulness; Ghamze :
amorous glances; sar-ba-sar : from top to bottom)
ajab ilzaam huuN zamaane kaa,
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN main,
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa,
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN main,
tum se jaanaaN milaa huuN jis din se,
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN main,
kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai,
ke achaanak, sudhar gayaa huuN main,
(kuu–e–jaanaaN : house of the beloved)
|
|