donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa, *
Maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa,
dil ko us kaa Khayaal chhoR gayaa,
(maskan : abode; maah-o-saal : months and years)
taazah-dam jism-o-jaaN the furqat meN,
vasl us kaa nidhaal chhoR gayaa,
(taazah-dam : fresh; jism-o-jaaN : body and soul; 
furqat : separation; vasl : meeting; nidhaal : exhausted)
ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal,
aik viiraan haal chhoR gayaa,
(ahd-e-maazii : time of past; purhaal : eventful)
zaala-baarii ke marhaloN kaa safar,
qaafile, paayemaal chhoR gayaa,
(zaala-baarii : hailstorm;  paayemaal : devastated)
dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho,
kaun thaa , kyaa malaal chhoR gayaa,
maiN bhii ab Khud se huuN  javaab-talab,
vo mujhe be-savaal chhoR gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370