donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ZaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa, *
ZaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa,
Qais to apne ghar gayaa kab kaa,
(zaKhm-e-ummiid : the wound of hope)
aap ik aur niind le liijiye,
qaafilaa kuuch kar gayaa kab kaa,
dukh ka lamhaa azal abad lamhaa,
vaqt ke paar utar gayaa kab kaa
(azal : beginning of time; abad : end of time)
apna muuNh ab to mat dikhaoa mujhe,
naasiho, maiN sudhar gayaa kab kaa,
nasshaa hone kaa be-tarah thaa kabhi,
par vo zaalim utar gayaa kab kaa,
aap ab puuchney ko aaye haiN,
dil merii jaan, mar gayaa kab kaa.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374