donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aik hii muzhdah subh laatii hai, *
Aik hii muzhdah subh laatii hai,
sehn meN dhuup phail jaatii hai,
(muzhdah : glad tidings; sehn : courtyard)
kyaa sitam hai ke ab terii suurat,
Ghaur karne pe yaad aatii hai,
sochtaa huuN ke us kii yaad aaKhir,
ab kise raat bhar jagaatii hai,
us vafaa-aashnaa kii furqat meN,
Khvaahish-e-Ghair kyuuN sataatii hai,
(vafaa-aashnaa : one who knows fidelity;
 Khvaahish-e-Ghair : desire for somebody else)
kaun is ghar kii dekh-bhaal kare,
roz ek chiiz TuuT jaatii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376