donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii, *
Haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii,
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii,
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak,
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii,
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN,
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii,
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir,
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii,
(namuud : appearance; qabaa : gown)
uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap,
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii,
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye,
haalat-e-di,l ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii,
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye,
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii,
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar,
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348