donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aik saayaa meraa masiihaa thaa , *
Aik saayaa meraa masiihaa thaa ,
kaun jaane, vo kaun tha, kyaa thaa ,
vo faqat sehn tak hii aatii thii,
maiN bhii hujre se kam nikaltaa thaa,
tujh ko bhuulaa nahiiN vo shaKhs ke jo,
terii baaNhoN meN bhii akelaa thaa,
(shaKhs : person; baaNheN : arms)
jaan-levaa thiiN KhvaahisheN varnaa,
vasl se intizaar achchaa thaa,
(KhvaahisheN : desires; vasl : meeting)
baat to dil-shikan hai par, yaaro ,
aql sachchii thii, ishq jhuuTa thaa ,
(dil-shikan : heart breaking)
apne mayyaar tak na pahuNchaa mai’n,
mujhko Khud par baRaa bharosaa thaa,
(mayyaar : benchmark)
jism ki saaf-go’ii ke baa-vasf,
ruuh ne kitnaa jhuuT bolaa thaa.
( baa-vasf : with qualities; ruuh : soul)
Tumhaare naam, tumhaare nishaaN se be-sarokaar,
tumhaarii yaad ke mausam guzarte jaate haiN,
bas ek manzar-e-be-hijr-o-wasl hai jis meN,
ham apne aap hi kuch rang bharte jaate haiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375