donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri aql-o-hosh ki sab haalatei’n, *
Meri aql-o-hosh ki sab haalatei’n,
tumne saanchein mein junoon mein dhaal deei’n,
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq,
tumne phir baahein gale mein daal deei’n,
yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas,
jaane kis kis ke liye paighaam hai’n,
per likhe hain maine jo auron ke naam,
mere wo khat bhi tumhare naam hai’n,
ye tere khat, tiree khushboo, ye tere khawab-o-khyaal,
mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah,
guzishtaa saal maine inhein gin ke rakha tha,
kisi ghareeb ki jori hui raqam ki tarah,
kitne zaalim hain jo ye kehte hai’n,
tod lo phool, phool choro mat,
baagbaaN ! ham to is khyaal ke hai’n,
dekh lo phool, phool toro mat,
hai muhabbat, hayaat ki lazzat,
warna kuch lazzat-e-hayaat nahi’n,
kya ijazat hai, ek baat kahuu’n,
wo….magar khair koii baat nahi’n,
sharm, dehshat, jhijhak, parishaani,
naaz se kaam kyuN nahin letii’n,
aap, wo, jee, magar, ye sab kya hai,
tum miraa naam kyuN nahin letii’n,
saalhaa saal aur ek lamhaa,
koi bhi to na inmein bal aaya,
khud hi ek dar pe maine dastak dee,
khud hi ladkaa sa main nikal aaya.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1638