donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai, *
Kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai,
tere badan ki judaii bahut satati hai,
tera bagair mujhe chain kaise padta hai,
mere bagair tujhe neend kaise aati hai,
minnatein hain khyaal ki tere,
khoob guzri tere khyaal ke sath,
maine ek zindagi basar kar dee,
tere naa-deeda khatt-o-khaal ke saaath,
saari aql-o-hosh ki aashaiyei’n,
tumne saanchein mein junoon mein dhaal deei’n,
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq,
tumne phir baahein gale mein daal deei’n,
dil mein jinka nishaan bhi na raha,
kyun na chehroN pe ab wo rang khilei’n,
ab to khaali hai rooh jazboN se,
ab bhi kya ham tapaak se na milei’n,
mere aur uske darmiyaan ab to,
sirf ek roo ba roo ka rishta hai,
haaye wo rishta, haaye khamoshi,
ab faqat guftagoo ka rishta hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 2198