donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MANZAR SA THA KOI KE NAZAR US ME'N GUM HUI, *
MANZAR SA THA KOI KE NAZAR US ME'N GUM HUI,
SAMJHO KE KHWAAB THA KE SEHAR US ME'N GUM HUI,
SAUDAE RANG WOH THA KE UTRA KHUD APNA RANG,
PHIR YEH KE SAARI JINSE HUNAR US ME'N GUM HUI,
WOH MERA IK GUMAAN KE MANZIL THA JIS KA NAAM,
SAARI MATAAE SHAUQE SAFAR US ME'N GUM HUI,
LAAYE THEY RAAT US KI KHABAR QAASDAANE DIL,
DIL ME'N WOH SHOR UTHA KE KHABAR USME GUM HUI,
IK FAISLE KA SAANS THA, IK UMR KA SAFAR,
LEKIN TAMAAM RAAH GUZAR US ME'N GUM HUI,
BAS "JAUN" KYA KAHOO'N KE MERI ZAAT NAFA JOO,
JIS KAAM ME'N THA YEH ZARAR US ME'N GUM HUI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 409