|
* Koii dam bhi mai’n kab andar raha hoo’n , *
Koii dam bhi mai’n kab andar raha hoo’n ,
Liye hai’n san’s aur bahar raha hoo’n,
Dhuye’n me’n sa’ns hai’n sanso’n me’n pal hai’n,
Mai’n roshandan tak bas mar raha hoo’n,
Fena har dam mujhe ginti rahi hai,
Mai’n ek dam ka thaa aur din bhar raha hoo’n,
Zara ek sa’ns roka to laga you’n,
Mai’n itni der apne ghar raha hoo’n,
Bajaz apne meyassar hai mujhe keya,
So khud se apni jebe’n bhar raha hoo’n,
Luta de neend ke bistar par ai raat,
Mai’n din bhar apni palko’n par raha hoo’n.
R-273, Sector-18-A/3, North Karachi
Karachi (Pakistan)
|
|