donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa *
Dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa, 
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa, 

kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamse hai vaastaa koii, 
tuune to hamse aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa, 

tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Ghaaliban, 
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa, 

jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do, 
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa, 

jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar, 
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa, 

nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz 
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiya.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348