* Dil ne wafa k naam par kaar e wafa nahi kiya *
Dil ne wafa k naam par kaar e wafa nahi kiya
khud ko halak kar diya khud ko fida nahi kiya
Jane teri nahi k sath kitne hi jabr the k the
Maine tere lehaz men tera kaha nahi kya
Tu bhi kisi k baab men ahd shikan ho ghaleban
MaiN ne bhi ek shakhs ka qzar ada nahi kya
Jo bhi ho tum per motariz usko yahi jawab do
Aap bahoot sharif haiN aapne kya nahi kiya
Jis ko shaikh O shah ne hukm E khuda diya qarar
Humne nahi kya wo han bakhuda nahi kya
Nisbat e ilm hai bahoot hakim e waqt ko azieez
usne to kar e jehl bhi be olama nahi kiya |