donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nigal gaye sab ke sab samandar zamiiN bachii ab kahiiN nahiiN hai, *
Nigal gaye sab ke sab samandar zamiiN bachii ab kahiiN nahiiN hai,
bachaate ham apnii jaan jis meN, vo kashtii ab to kahiiN nahiiN hai,
vo aag barsii hai do-pahar kii key saare manzar jhulas gaye haiN,
sub’h-savere jo taazgii thii vo taazgii ab kahiiN nahiiN hai,
tum apne qasboN meN jaa ke dekho vahaan bhi ab shah’r hii base haiN,
ke DhuuNdte ho jo zindagii tum vo zindagii ab kahiiN nahiiN hai,
bahut dinoN baad paayii fursat to maine khud ko palaT ke dekhaa,
magar maiN pehchaantaa tha jis ko vo aadmii ab kahiiN nahiiN hai,
guzar gayaa vaqt dil pe likh ke na jaane kaisii ajiib baateN,
varq palaTtaa huuN maiN jo dil ke to saadgii ab kahiiN nahiiN hai,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370