donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MaiN jab bhii *
MaiN jab bhii
zindagii kii chilchilaatii dhuup meN tap kar,
maiN jab bhii
duusroN ke aur apne jhuuT se thak kar,
maiN sab se laR kar khud se haar kar,
jab bhii us ek kamre meN jaataa thaa,
vo halke aur gehre kat’thaii rangoN kaa ek kamraa,
vo behad meherbaaN kamraa,
jo apnii narm mutthii meN mujhe aise chhupaa letaa thaa,
jaise koii maaN
bacche ko aanchal mein chhupaa le,
pyaar se daaNte,
ye kyaa aadat hai,
jaltii do-pahar meN maare-maare ghuumte ho tum,
vo kamraa yaad aata hai,
dabiiz aur Khaasaa bhaarii,
kuch zaraa mushkil se khulne waalaa,
vo shiisham kaa darwaazaa,
ke jaise ko’ii akkhaR baap,
apne khurdure siine meN,
shafqat ke samandar ko chuupaye ho,
vo kursii,
aur uske saath vo juRvaaN bahen uskii,
vo donoN,
dost thiiN merii,
vo ek gustaaKh muNh-phat aaiinaa,
jo dil kaa acchaa thaa,
vo be-hangaam sii almaarii,
jo kone meN khaRi,
ek booRhi annaa kii tarah,
aaiine ko tambiih karti thii,
vo ek guldaan,
nanhaa saa,,
bahut shaitaan,
un donoN pe haNstaa thaa,
dariichaa,
yaa zahaanat se bhaarii ek muskuraahat,
aur dariiche pe jhukii vo bel,
ko’ii sabz sargoshi.
kitaabeN,
taaKh meN aur shelf par,
sanjiidaa ustaanii banii baithii,
magar sab muntazir is baat kii,
maiN unse kuch poochuuN,
sirhaane,
niind kaa saathii,
thakan kaa chaaragar,
vo narm-dil takiyaa,
maiN jiskii goad meN sir rakh ke,
chhat ko dekhtaa thaa,
chhat ki kaRioN meN,
na jaane kitne afsaanon kii kaRiaaN thiiN,
vo chhotii mez par,
aur saamne diivaar par,
aavezaaN tasveereN,
mujhe apnaaiyat aur yaqiiN se dekhtiiN thiiN,
muskuratii thiiN,
unheN shak bhii nahiiN thaa,
ek din,
maiN unko aise chhoR jaaooNgaa,
maiN ek din yuN bhii jaaooNgaa,
ke phir vapas na aaooNgaa.,,
maiN ab jis ghar meN rahtaa huN,
bahut hii Khuubsuurat hai,
magar aksar yahaaN Khaamosh baithaa yaad kartaa huN,
vo kamraa baat kartaa thaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338