donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jidhar jaate hai’n sab jana udhar achcha nahi’n lagta, *
Jidhar jaate hai’n sab jana udhar achcha nahi’n lagta,
Mujhe pamal rasto’n ka safar achcha nahi’n lagta,

Ghalat baato’n ko khamoshi se sunna haami bhar lena,
Bahut hai’n fayede is me’n magar achcha nahi’n lagta,

Yeh keyo’n baqi rahe aatish zano! Yeh bhi jala dalo!,
Ke sab be ghar ho’n aur mera ho ghar achcha nahi’n lagta,

Mujhe dushman se bhi khuddary ki umeed rahti hai,
Kisi ka bhi ho sar qadmo’n pe sar achcha nahi’n lagta,

Bulandi par unhe’n mitti ki khushboo tak nahi’n aaii,
Yeh kaisi shakhe’n hai’n jin ko shajar achcha nahi’n lagta.
	
				702, Sagar Samrat, Green Field Road,
				Juhu, Mumbai-400049
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 695