donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Husn-e-jana ki tareef mumkin nahi *
Husn-e-jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
tu bhi dekhey agar to kahey humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

aisa dekha nahi khoobsoorat koi
jism jaisay ajanta ki moorat koi
jism jaisey nigahoon pay jadoo koi
jism naghma koi, jism Khushboo koi
jism jaisey machaltee hoi ragnee
jism jaisey mehekhtee joi chandnee
jism jaisey ke khilta hoa ek chaman
jism jaisey ke sooraj ki pehli kiran
jism tarsha hoa dil_kush-O-dil_nasheeN
sandalee sandalee, marmareeN marmareeN
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
husn-e-jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

chehra ek phool ki tarah shadab hai
chehra oska hai ya koi mehtaab hai
chehra jaisey ghazal, chehra jaan-e-ghazal
chehra jaisey kali, chehra jaisey kanval
chehra jaisey tasavvur bhi tasveer bhi
chehra ek Khuvaab bhi, chehra tabeer bhi
chehra koi alif lailvi dastaan
chehra ek pal yaqeen, chehra ek pal gumaaN
chehra jaisa ke chehra kaheeN bhi nahi
mahroo mahroo, mehjabeeN mehjabeeN
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
husn-e-jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

AankhaiN daikheeN maiN to daikhta reh gaya
jaam do aur dono he doo_Aatisha
AankhaiN ya maikadey ke doo baab haiN
Aankhain inko kahooN ya kahoon Khuvaab haiN
Aankhain neechi hoi to haya bun gaiN
Aankhain onchi howi to dua bun gaiN
Aankhain uTh kar jhukeeN to ada bun gaiN
Aankhain jhuk kar uTheeN to qaza bun gaiN
Aankhain jin maiN qaid Aasmaan-o-zameen
nargasee nargasee, sarmageeN surmageeN
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
husn-e-jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

zulf-e-jaanaaN ki bhi lambi hai dastaaN
zulf ki mere dil par haiN parchayaaN
zulf jaisey ke umDee hoi ho ghaTa
zulf jaisay ke ho koi kaali bala
zulf uljhey to dunya pareeshan ho
zulf suljhay to yeh zeest Aasaan ho
zulf bikhray siyah raat chaaney lagay
zulf lehraey to raat jaaney lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
zulf zanjeer hai phir bhi kitni haseen
reshmi reshmi, ambareeN ambareeN
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
husn-e-jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 565