donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar *
Ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar 
to pahale aake maa.ng merii nazar terii nazar 
ye ghar bahut hasiin hai 


na baadalo.n kii chaa.nv me.n na chaa.ndanii ke gaa.nv me.n 
na phuul jaise raaste bane hai.nis ke vaaste 
magar ye ghar ajiib hai zamiin ke qariibhai 
ye ii.nt pattharo.n kaa ghar hamaarii hasarato.n kaa ghar 


jo chaa.ndanii nahii.n to kyaa ye roshanii hai pyaar kii 
dilo.n ke phuul khil gaye to fikr kyaa bahaar kii 
hamaare ghar naa aayegii kabhii khushii udhaar kii 
hamaarii raahato.n kaa ghar hamaarii chaahato.n kaa ghar 


yahaa.n mahak vafaao.n kii hai qah-qaho.n ka arang hai 
ye ghar tumhaaraa khvaab hai ye ghar merii uma.ng hai 
na aarazuu pe qaid hai na hausale par ja.ng hai 
hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmato.n kaa ghar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336