donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye bataa de mujhe zindagii *
Ye bataa de mujhe zindagii 
pyaar kii raah ke hamsafar 

kis tarah ban gaye ajnabii 
ye bataa de mujhe zindagii 

phuul kyuu’n saare murjhaa gaye 
kis liye bujh gaii chaandanii 

ye bataa de mujhe zindagii
kal jo baaho’n me’n thii 

aur nigaaho’n me’n thii 
ab vo garmii kahaa’n kho gaii

na vo andaaz hai 
ab vo narmii kahaa’n kho gaii

ye bataa de mujhe zindagii
bevafaa tum nahii’n 

bevafaa ham nahii’n 
phir vo jazbaat kyo’n so gaye

pyaar tum ko bhii hai 
pyaar ham ko bhii hai 

faasale phir ye kyaa ho gaye 
ye bataa de mujhe zindagii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354