donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dasht-e-firaaq ki wo raat, kesi thi raat? kuch na pooch! *
Dasht-e-firaaq ki wo raat, kesi thi raat? kuch na pooch!
taroN ka zikr ab na cheR, chand ki baat ab na pooch...

qariya-e-jaaN ujaaR kr, jany kahaN nikal gaey,
wo jo di'ay thy bazm k, un ki hayaat kuch na pooch...

tu ne saleebaiN gaR deiN, jhool gaye khushi se ham,
kam se apny kaam rakh, aur nukaat kuch na pooch

apni khushi se naam likh, khali paRi hay loh-e-dil,
naam-o-numood kuch na dekh, zaat sifaat kuch na pooch

baNT'ty thy hathoN hath jam, kesi thi bazm rang pr,
kesy luTa wo meykada, haaye wo baat kuch na pooch

moj-e-hawa k dosh pr, chaTki hui hay chandni,
kesy kaTy gi aaj raat, yar Hayaat kuch na pooch
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385