donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ulfat Mei.N Sadaa Wasl Ka Hi Mar-halaa Baaqi Rahaa *
Ulfat Mei.N Sadaa Wasl Ka Hi Mar-halaa Baaqi Rahaa
Laghzishei.N Thi Har Qadam, Par Hoslaa Baaqi Rahaa

Un Ko Chaaha, Un Ko Pooja, Bas Zaraa Mar Na Sakey
Un Ki Aankho.N Mein Hameshaa Ye Gila Baaqi Rahaa

Hamney Rakkhaa Tha Takhayyul Mei.N Chupaakar Uska But
Hijr Mei.N Bhi Wasl Ka Sa Silsilaa Baaqi Rahaa

Kuch Ko Aankho.N Se Pilaayee, Kuch Ko Usney Jaam Se
Darmiya.N Zaahid Wa Maikash, Faslaa Baaqi Rahaa

Usney Tark-e-rabt Kiya Phir Bhi The Ham Muntazir
Ik Dareechaa Dil Ki Basti Mei.N Khula Baaqi Rahaa

Ham Bhi Ghalib Ki Tarah Be-aabroo Hokar Chaley
Tera Maqtal Tha, Tera Hi Faislaa Baaqi Rahaa

Intezaar-e-zakhm-e-dil Karley 'Hayat' Ab Ishq Mei.N
Tere Dil Par Bhi Wafaa Ka Ye Silaa Baaqi Rahaa.

Jawaid Hayat
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 466