donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na Ashk Aankh Mei.N Baaqi Na Piyaas Hoti Hai *
Na Ashk Aankh Mei.N Baaqi Na Piyaas Hoti Hai
Wo Isi Baat Se Meri Udaas Hoti Hai

Hawaa Ke Saath BhaTakta Hoo.N Is Tajassus Mein
Kahaa.N Ki Aab-o-Hawa Mujh Ko Raas Hoti Hai

Wo Zid Hai Ya Ke Anaa Hai Jo Muskurati Hai
Agarche Sham Bhi Uski Udaas Hoti Hai

Bujhaaey Kis Tarah Tishna-Labi Ko Ashko.N Se
Wo Mujh Se seekh Le Jisko Bhi Piyaas Hoti Hai

Mai.N Is Liye Kabhi Furqat Ka Gham Nahi.N Kartaa
Ke Unse Khuwab Mein Milne Ki Aas Hoti Hai

Raqeeb Sab Mere Ham-Gham Hai.N Dosto.N Se Hai.N
Hai Dosti Wahi Jo Gham-Shanaas Hoti Hai


Tere Khayal Se Roshan Shab-e-Firaaq Meri
Hai Ek Boond Bhi Saaghar Jo Piyaas Hoti Hai

Hayat Wasl-e-Muhabbat Ki Tu Khushi Na Manaa
Zamaaney Bhar Ki Nazar Be Libaas Hoti Hai
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338