donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujh Ko Na Tha Gumaan Kisi Ki Nazar Tha Mai.N *
Mujh Ko Na Tha Gumaan Kisi Ki Nazar Tha Mai.N
Mujh Se Kisi Ko Ishq Tha Par Be-Khabar Tha Mai.N

Baad-e-khizaa.N Ka Zor Kabhi Kham Na Kar Sakaa
Sahra Ki Waadiyo.N Mei.N Mein Palaa Ik Shajar Tha Mai.N

Nazrei.N Thee.N Sang-taraash Kai But Banaa Liye
Pooja Nahi.N Kisi Ko Dil-e-Be-Asar Tha Mai.N

Wo Zindagi Ki Dhoop Se Dar Kar Chalaa Gaya 
Saya Tha Jiska Or Sadaa Ham-safar Tha Mai.N

Mai.N To Shab-e-firaaq Mei.N Royaa Nahi.N Kabhi
Na Jaaney Kaisa Dard Tha Kiyo.N Tar-ba-tar Tha Mai.N 

Hosh-o-hawaas Taab-o-tawaa.N Ishq Mei.N Gaye 
Dil Mei.N Umeed-e-wasl Liye Dar-ba-dar Tha Mai.N

Shaayad Isi Liye Wo Wafaa Tark Kar Gayaa
Na Ishq Natawaa.N Tha Magar Uska Dar Tha Mai.N

Ye Bhi Sabab Tha Hasrat-e-Naakaam Ka Hayaat
Ke Ishq To Kiya Tha Magar Be-hunar Tha Mai.N

Jawaid Hayat
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 387