donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aati Hai Sadaa Jo Ye Zamee.n Per Azaa.n Ke Beech *
Aati Hai Sadaa Jo Ye Zamee.n Per Azaa.n Ke Beech
UThti Hai Yaum e abad Se Ye Aasmaa.n Ke Beech

Ger Deed Hai To Dekh Le Noor e ayaa.n Ke Beech
Hai Uske Ikhtiyaar Mei.n Her Shai Jahaa.n Ke Beech

Dekho To Kainaat Hai Socho To Ik Ghubaar
Her Shai Hai Zarraa Khaak Ka Arz-o-samaa.n Ke Beech

Uski Nazar uthi To Qayaamat Bhi Aayegi
Hai Lamha Faqat Ek Hi Teero.n Kamaa.n Ke Beech

Bezaar Hongey Phool Bhi Khushbu o rang Se
Aayega Wo Bhi Daur Bahaar o Khizaa.n Ke Beech

Aankho.n Ko Bas Mei.n Na Kiya To MiT Bhi Jayega
Qaayam Hai Jo Ye Faasla Dil Aur Zubaa.n Ke Beech

Ab Dekhna Hai Zarf Hai Kitna 'Hayat' Mei.n
Aaney Do Zindagee Ko Kabhi Imtehaa.n Ke Beech

By Jawaid 'Hayat'
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386